Friday, March 02, 2007

chhuna hai aasman...............

chchunna hai aasma,
khushiyo ka vo jahaa,
le jaayengi ,mujhko meri raahe jahaa.

chchuna hai aasman.........

kitne gire, girke uthe,
himmat kabhi haari nahi,
kitne bhi gam humko mile,
gum se kabhi yaari na ki.
khushiya hai rehnuma.

chuna hai aasman..

is ishk ke sailab main,
hain yaar bhi kitne mile.
chu na saka dil ko koi.
the saath bhi kitne chale.
par mehka tha sama.

chchuna hai aasma.

jini hai apni jindagi,
karni khud aki hai bandgi.
bas ek khuda se hi pyaar hai,
maulla hi to mera yaar hai.
us par hai dil fida.

chchuna hai aasman........

tanhaai mein bhi kush hain hum,
bas khud hi me to gum hain hum
jaise bhi hai achche bure,
khud ke liye kya kam hai hum,
khud par hai hum fanaa.

chchuna hai aasma...

kismat apni khud likhte hai,
raahe apni khud chunte hai.
aa jaaye jo andhera to
banke shamaa khud jalte hai.

khud ke hai badshaah.

chchuna hai aasman..............
chchuna hai aasma.
le jaayengi mujhko meri
raahen jahaan...........